ajab sahra badan par aab ka ibham rakkha hai
ye kis ne is samundar ka samundar nam rakkha hai
wahi ek din shahadat dega meri be-gunahi ki
wo jis ne qatl-e-gul ka mere sar ilzam rakkha hai
main tum se puchhta hun jhil-dal ki be-zaban maujo
tah-e-daman chhupa kar tum ne kya paigham rakkha hai
kabhi baadal mere aangan utarta puchhta main bhi
kuhistan par barasna kis ne tera kaam rakkha hai
raha hoga wo kitna dil ghani dast-e-saKHi jis ne
junun ki mumlikat ka ek patthar dam rakkha hai
yahi na phul se bichhDe to aawara hon sahra mein
kahun kya kis ne KHushbuon ka ye anjam rakha hai
mujhe manzur wo aqdar bhi radd sab karen jin ko
kisi ne soch kar 'manzur' mera nam rakha hai
Ghazal
Ajab sahra badan par aab ka ibham rakkha hai
Hakeem Manzoor