ajab rang ki mai-parasti rahi
ki be mai piye mai ki masti rahi
bikharte rahe gesu-e-ambarin
saba un se mil mil ke basti rahi
raha daur mein saghar-e-nargisi
meri mai un aankhon ki masti rahi
wo shakl apni har dam badalte rahe
yahan mashq-e-surat-parasti rahi
wahin rah paDe rah mein husn-e-dost
jahan husn walon ki basti rahi
mili roz hum faqa-maston ko mai
KHuda jaane mahngi ki sasti rahi
'mubarak' parastar-e-mai-KHana tha
ye jab tak raha mai-parasti rahi
Ghazal
Ajab rang ki mai-parasti rahi
Mubarak Azimabadi