اردو हिंदी
Ajab rang aankhon mein aane lage | Shaahi Shayari
ajab rang aankhon mein aane lage

Ghazal

Ajab rang aankhon mein aane lage

Aashufta Changezi

;

ajab rang aankhon mein aane lage
hamein raste phir bulane lage

ek afwah gardish mein hai in dinon
ki dariya kinaron ko khane lage

ye kya yak-ba-yak ho gaya qissa-go
hamein aap-biti sunane lage

shagun dekhen ab ke nikalta hai kya
wo phir KHwab mein baDbaDane lage

har ek shaKHs rone laga phuT ke
ki 'ashufta'-ji bhi Thikane lage