اردو हिंदी
Ajab nashat se jallad ke chale hain hum aage | Shaahi Shayari
ajab nashat se jallad ke chale hain hum aage

Ghazal

Ajab nashat se jallad ke chale hain hum aage

Mirza Ghalib

;

ajab nashat se jallad ke chale hain hum aage
ki apne sae se sar panw se hai do qadam aage

qaza ne tha mujhe chaha KHarab-e-baada-e-ulfat
faqat KHarab likha bas na chal saka qalam aage

gham-e-zamana ne jhaDi nashat-e-ishq ki masti
wagarna hum bhi uThate the lazzat-e-alam aage

KHuda ke waste dad us junun-e-shauq ki dena
ki us ke dar pe pahunchte hain nama-bar se hum aage

ye umr bhar jo pareshaniyan uThai hain hum ne
tumhaare aaiyo ai turrah-ha-e-KHam-ba-KHam aage

dil o jigar mein pur-afshan jo ek mauja-e-KHun hai
hum apne zom mein samjhe hue the us ko dam aage

qasam janaze pe aane ki mere khate hain 'ghaalib'
hamesha khate the jo meri jaan ki qasam aage