ajab nahin hai mualij shifa se mar jaen
mariz zahr samajh kar dawa se mar jaen
ye soch kar hi hamein KHud-kushi sawab lagi
jo ki hai man ne to phir bad-dua se mar jaen
ye ehtijaj samundar ke dam ko kafi hai
kisi kinare pe do-chaar pyase mar jaen
fasadiyon ko main is shart par riha karunga
ki faKHta ke paron ki hawa se mar jaen
tu apne lahje ki riqqat ko thoDa kam kar de
faqir log na teri sada se mar jaen
uTha ke phirte hain hum aap sirf nam to len
qasam se aap to kase ki ka se mar jaen

Ghazal
Ajab nahin hai mualij shifa se mar jaen
Rakib Mukhtar