اردو हिंदी
Ajab kya hai rahe us par bahte jugnuon ki raushni tahlil ki zad mein | Shaahi Shayari
ajab kya hai rahe us par bahte jugnuon ki raushni tahlil ki zad mein

Ghazal

Ajab kya hai rahe us par bahte jugnuon ki raushni tahlil ki zad mein

Zahid Masood

;

ajab kya hai rahe us par bahte jugnuon ki raushni tahlil ki zad mein
hawa-e-be-watan rakh le tulu-e-mahr ka ek zaicha zambil ki zad mein

gham-e-be-chehragi ka aks tha jis ne wajud-e-sang ko mabhut kar Dala
tarashin silwaTen junhi KHad-o-KHal-e-tahayyur aa gae tashkil ki zad mein

shab-e-wada fasil-e-hijr se aage chamakta hai tera ism-e-sitara-ju
ki jaise koi paiwand-e-rida-e-subh aa jae kisi qindil ki zad mein

tamashai dariche mein thirakti surKH aaankhon ke tilism-e-KHwab mein gum hain
magar sahmi hui kaTh-putliyon ki zindagi hai aaKHiri tamsil ki zad mein

mere name tahi-mazmun sahi phir bhi teri lauh-e-muqaffal ki amanat hain
kabhi to aaegi shakl-e-huruf-e-na-farastada KHat-e-tawil ki zad mein