ajab koi zor-e-bayan ho gaya hun
ruka hun to phir se rawan ho gaya hun
bahut gard uDne lagi mere pichhe
akela hi main karwan ho gaya hun
sabhi mere hone pe KHush ho rahe hain
mujhe bhi batao kahan ho gaya hun
kinare nikal aae hain mere andar
ba-zahir to main be-karan ho gaya hun
kisi kaam se shadman hote hote
kisi baat se bad-guman ho gaya hun
kisi ke liye waqia hun yahan par
kisi ke liye dastan ho gaya hun
main bahar to mahfuz tha har tarah se
ghar aaya hun aur be-aman ho gaya hun
jo paDne lagi thi bahut meri qimat
hun sharminda aur raegan ho gaya hun
'zafar' kaam lun ab ishaaron se kab tak
zaban toD kar be-zaban ho gaya hun
Ghazal
Ajab koi zor-e-bayan ho gaya hun
Zafar Iqbal