اردو हिंदी
Ajab KHajalat-e-jaan hai nazar tak aai hui | Shaahi Shayari
ajab KHajalat-e-jaan hai nazar tak aai hui

Ghazal

Ajab KHajalat-e-jaan hai nazar tak aai hui

Saud Usmani

;

ajab KHajalat-e-jaan hai nazar tak aai hui
ki jaise zaKHm ki taqrib-e-ru-numai hui

nazar to apne manazir ke ramz jaanti hai
ki aankh kah nahin sakti suni-sunai hui

barun-e-KHak faqat chand Thekre hain magar
yahan se shahr milenge agar khudai hui

KHabar nahin hai ki tu bhi wahan mile na mile
agar kabhi mere dil tak meri rasai hui

main aandhiyon ke muqabil khaDa hua hun 'saud'
paDi hai fasl-e-mohabbat kaTi-kaTai hui