ajab kashakash-e-bim-o-raja hai tanhai
tere baghair tera samna hai tanhai
nae dinon ki saliben gae dinon ke mazar
azab KHud se mulaqat ka hai tanhai
faza mein hain kisi tufan-e-tund ke aasar
safar tawil hai aur rasta hai tanhai
bahut udas hai dil doston ki mahfil mein
har ek aankh mein chehra-numa hai tanhai
shagufta phulon ka gul-dasta sohbat-e-yaran
bikharte patton ka ek Dher sa hai tanhai
main aaftab ko kaise dikhaun tariki
tujhe main kaise bataun ki kya hai tanhai
ajab sukun tha shab aansuon ki barish mein
wo gham-gusar wo dard-ashna hai tanhai
wo KHwab kya tha ki jis ki hayat hai tabir
wo jurm kya tha ki jis ki saza hai tanhai
nahin mile the to tanhai kis qadar thi 'ziya'
wo mil ke bichhDe to us se siwa hai tanhai
Ghazal
Ajab kashakash-e-bim-o-raja hai tanhai
Zia Jalandhari