اردو हिंदी
Ajab jauban hai gul par aamad-e-fasl-e-bahaari hai | Shaahi Shayari
ajab jauban hai gul par aamad-e-fasl-e-bahaari hai

Ghazal

Ajab jauban hai gul par aamad-e-fasl-e-bahaari hai

Bhartendu Harishchandra

;

ajab jauban hai gul par aamad-e-fasl-e-bahaari hai
shitab aa saqiya gul-ru ki teri yaadgari hai

riha karta hai sayyaad-e-sitamgar mausam-e-gul mein
asiran-e-qafas lo tum se ab ruKHsat hamari hai

kisi pahlu nahin aaram aata tere aashiq ko
dil-e-muztar taDapta hai nihayat be-qarari hai

safai dekhte hi dil phaDak jata hai bismil ka
are jallad tere tegh ki kya aab-dari hai

dila ab to firaq-e-yar mein ye haal hai apna
ki sar zanu pe hai aur KHun-e-dil aankhon se jari hai

ilahi KHair kijo kuchh abhi se dil dhaDakta hai
suna hai manzil awwal ki pahli raat bhaari hai

'rasa' mahw-e-fasahat dost kya dushman bhi hain sare
zamane mein tere tarz-e-suKHan ki yaadgari hai