ajab insan hun KHush-fahmiyon ke ghar mein rahta hun
main jis manzar mein hun gum us ke pas-manzar mein rahta hun
jo main zahir mein hun ye to sarab-e-zat hai yaro
main apne zehn ke but-KHana-e-azar mein rahta hun
jo mujh se meri hasti le gaya tha ek saat mein
baDi muddat se main us shaKHs ke paikar mein rahta hun
koi manus chap aae suragh-e-agahi le kar
main apni KHwahishon ke KHana-e-be-dar mein rahta hun
alamat fikr-o-danish ki jahan patthar hi patthar hon
meri himmat ki us ahd-e-sitam-parwar mein rahta hun
main kya hun kaun hun maqsad meri taKHliq ka kya hai
na jaane kitni sadiyon se isi chakkar mein rahta hun
Ghazal
Ajab insan hun KHush-fahmiyon ke ghar mein rahta hun
Sultan Rashk