اردو हिंदी
Ajab insan hun KHush-fahmiyon ke ghar mein rahta hun | Shaahi Shayari
ajab insan hun KHush-fahmiyon ke ghar mein rahta hun

Ghazal

Ajab insan hun KHush-fahmiyon ke ghar mein rahta hun

Sultan Rashk

;

ajab insan hun KHush-fahmiyon ke ghar mein rahta hun
main jis manzar mein hun gum us ke pas-e-manzar mein rahta hun

koi manus chap aae suragh-e-agahi le kar
main apni KHwahishon ke KHana-e-be-dar mein rahta hun

jo mujh se meri hasti le gaya tha ek saat mein
baDi muddat se main us shaKHs ke paikar mein rahta hun

jo main zahir mein hun wo to sarab-e-zat hai yaro
main apne zehn ke but-KHana-e-azar mein rahta hun

alamat fikr-o-danish ki jahan patthar hi patthar hai
meri himmat ki is ahd-e-sitam-parwar mein rahta hun