اردو हिंदी
Ajab inqalab ka daur hai ki har ek samt fishaar hai | Shaahi Shayari
ajab inqalab ka daur hai ki har ek samt fishaar hai

Ghazal

Ajab inqalab ka daur hai ki har ek samt fishaar hai

Ghubaar Bhatti

;

ajab inqalab ka daur hai ki har ek samt fishaar hai
na kahin KHirad ko sukun hai na kahin junun ko qarar hai

kahin garm bazm-e-habib hai kahin sard mahfil-e-yar hai
kahin ibtida-e-surur hai kahin intiha-e-KHumar hai

mera dil hai sine mein raushni isi raushni pe madar hai
main musafir-e-rah-e-ishq hun to ye shama rah-guzar hai

jise kahte hain teri anjuman ajab anjuman hai ye anjuman
koi is mein soKHta-haal hai koi is mein sina-figar hai

ye asar hai ek nigah ka ki mizaj-e-taba badal diya
jo hamesha shikwa-guzar tha wo tumhaara shukr-guzar hai

ye zaruri kya hai ki har bashar rahe nam-o-kaam se ba-KHabar
magar itna jaan chuke hain sab ki taKHallus us ka 'ghubar' hai