ajab ek waqt gulshan mein ye paigham-e-bahaar aaya
faza hi sazgar aai na mausam sazgar aaya
sunaun kya main apni dastan-e-gham tujhe hamdam
wo aaya apni mahfil mein magar begana-war aaya
tabassum ne kisi ke ruh phunki gulsitanon mein
shagufon ko jawani ka yaqin-o-e'tibar aaya
usi ko log kahte hain surur-o-kaif ka aalam
surahi KHatm ho jaane pe halka sa KHumar aaya
ajab ek mahwiyat thi log diwana samajhte the
tere kuche mein kuchh din is tarah main bhi guzar aaya
karo ai ham-safiro ehtimam-e-jashn-e-azadi
KHizan ruKHsat hui lo jhum kar abr-e-bahaar aaya
'nazar' ne KHud bhi dekha hai jamal-e-yar ka aalam
jo un ke ru-ba-ru pahuncha wahi kuchh be-qarar aaya
Ghazal
Ajab ek waqt gulshan mein ye paigham-e-bahaar aaya
Nazar Barni