ajab hi haal tha aawaz ka to
ye mar jati agar main bolta to
mera saya nahin baDhta hai aage
ye kahta hai agar main gir gaya to
main jaisa tha meri taswir mein kal
tumhein waisa agar main na mila to
tumhaare tabsire se tang aa kar
hamare haal ne kuchh kar liya to
daba kar to rakhunga raaz tere
mujhe phir bhi kisi ne paDh liya to
tumhein bechainiyan hi mar dengi
agar main hans ke thoDa mil liya to
nahin rah paoge phir tum wahan par
kaleja kaT kar kuchh likh diya to
miTa doge mujhe tum jaanta hun
magar socho agar main bach gaya to
nikal paDte ho tum yun saj-sanwar ke
kabhi socha mujhe kuchh ho gaya to
ba-zahir jang hogi hadson ki
agar main beach mein se haT gaya to

Ghazal
Ajab hi haal tha aawaz ka to
Sawan Shukla