اردو हिंदी
Ajab hi Dhang se ab anjuman-arai hoti hai | Shaahi Shayari
ajab hi Dhang se ab anjuman-arai hoti hai

Ghazal

Ajab hi Dhang se ab anjuman-arai hoti hai

Islam Uzma

;

ajab hi Dhang se ab anjuman-arai hoti hai
jahan par bhi rahen hum sath mein tanhai hoti hai

fatuhat-e-dil-o-jaan par yun mat itra mere lashkar
ki is maidan mein fil-faur hi paspai hoti hai

ye mela waqt ka hai hath us ke hath mein rakhna
bichhaD jaen yahan to phir kahan yakjai hoti hai

hum aise kuchh bhi kar len un ki tah ko pa nahin sakte
amir-e-shahr ki baaton mein wo gahrai hoti hai

salasat se bayan ahwal-e-dil karna hai ek KHubi
basa-auqat chup rahna bhi to danai hoti hai

zaban-e-KHalq goyai ke gauhar to luTati hai
labon par jo nahin aati wahi sachchai hoti hai