اردو हिंदी
Ajab dasht-e-hawas ka silsila hai | Shaahi Shayari
ajab dasht-e-hawas ka silsila hai

Ghazal

Ajab dasht-e-hawas ka silsila hai

Prem Kumar Nazar

;

ajab dasht-e-hawas ka silsila hai
badan aawaz ban kar gunjta hai

ki wo diwar unchi ho gai hai
ki mera qad hi chhoTa ho gaya hai

gale tak bhar gaya andha kuan bhi
meri aawaz par kam bolta hai

main apni jama-poshi par pashiman
wo apni be-libasi par fida hai

badan par chyunTiyan si rengti hain
ye kaisa khurdura bistar bichha hai

wo aankhen ho gain taqsim do par
jawab ab aur mushkil ho gaya hai

wo bahte paniyon par naqsh hoga
jo bhigi ret par likkha hua hai

paDha tha jo kitab-e-zindagi se
wahi lauh-e-badan par likh diya hai