اردو हिंदी
Ajab bhul o hairat jo maKHluq ko hai | Shaahi Shayari
ajab bhul o hairat jo maKHluq ko hai

Ghazal

Ajab bhul o hairat jo maKHluq ko hai

Yasin Ali Khan Markaz

;

ajab bhul o hairat jo maKHluq ko hai
KHuda ki talab shirk ki justuju hai

sharab-e-mohabbat mein maKHmur hun main
piyala bhara hai mulabbab subu hai

pata ek ka do mein kyun kar milega
jo kasrat fana ho to KHud tu hi tu hai

nahin ghair koi tashaKHKHus ka parda
man-o-tu faqat ghair ki guftugu hai

hai KHud aap maujud har yak sifat se
judai nahin is mein kuchh mu-ba-mu hai

sifat bast-o-qabiz ki tuKHm-o-shajar hai
jo bu hai so gul hai jo gul hai so bu hai

wo pir-e-tariqat hai kaamil usi ko
KHuda is ke har aan mein ru-ba-ru hai

wajud ek hai surat us ki mughayyar
hai jalwa usi ka na main aur tu hai

tu 'markaz' hai aalam mein paida-o-zahir
banaya banata hai jo kuchh ki tu hai