ajab be-kaif hai raaton ki tanhai kai din se
kisi ki yaad bhi dil mein nahin aai kai din se
bahut maghmum hai shan-e-masihai kai din se
baDhi jati hai zaKHm-e-dil ki gahrai kai din se
kali ne bhi uDaya tha mazaq-e-girya-e-shabnam
paDi hai KHak par KHushk aur murjhai kai din se
chura lai hai shayad nikhat-e-gul sehn-e-gulshan se
nasim-e-subh kyun phirti hai ghabrai kai din se
KHuda jaane ye ab kya ho gaya hum bad-nasibon ko
ki tere gham ki lazzat bhi na ras aai kai din se
idhar bhi ek nazar ai malik-e-virana-o-gulshan
tere kuche mein phirta hai ye saudai kai din se
shahid-e-ishq ki ye maut hai ya zindagi yarab
nahin malum kyun bajti hai shahnai kai din se
qayamat se nahin kam furqat-e-ahbab ka gham bhi
dil-e-muztar ko roti hai shakebai kai din se
nazar mein tishnagi lab par duaen dil mein ummiden
haram ke gard phirta hai tamannai kai din se
dil-e-bimar se kya kah diya un ki nigahon ne
kuchh ab mahsus hoti hai tawanai kai din se
kisi ahl-e-nazar ki phir unhen shayad zarurat hai
ki phir betab hai shauq-e-KHud-arai kai din se
sunen arbab-e-mahfil gosh-e-dil se dil ki aawazen
ki 'zauqi' kar raha hai naghma-pairai kai din se
Ghazal
Ajab be-kaif hai raaton ki tanhai kai din se
Muhammad Ayyub Zauqi