ajab aahang tha us shor mein bhi KHarch hui
meri aawaz-e-sukut-e-ajabi KHarch hui
ek hi aan mein didar hua baat hui
KHwahish-e-wasl sar-e-tur sabhi KHarch hui
zindagi tere taaqub mein guzari hui shab
baDi mushkil se mili aur yunhi KHarch hui
subh tak zulf-e-siyah-rang ka jadu tha ajab
raat botal mein thi jitni bhi bachi KHarch hui
subh uThte hi main kuchh dhup bharunga in mein
KHwab dekhen hain to aankhon ki nami KHarch hui
kitni tah-dar KHala hai ye KHala ke andar
aasman dekh ke nur-e-nazari KHarch hui
kya hi achchhi thi kalai mein bandhi rahti thi
waqt ko dekhte rahne se ghaDi KHarch hui
baDi virani sar-e-kucha-e-zulmat hai nasib
aap aae hain to thoDi hi sahi KHarch hui

Ghazal
Ajab aahang tha us shor mein bhi KHarch hui
Osaama ameer