aisi wahshat nahin dil ko ki sambhal jaunga
surat-e-pairahan-e-tang nikal jaunga
wo nahin hun ki rukhai se jo Tal jaunga
aaj jata tha to zid se teri kal jaunga
sham-e-hijran kisi surat se nahin hoti subh
munh chhupa kar main andhere mein nikal jaunga
khinch kar tegh kamar se kise dikhlate ho
naf-e-mashuq nahin hun jo main Tal jaunga
shab-e-hijr apni siyahi kise dikhlati hai
kuchh main laDka to nahin hun ki dahal jaunga
kucha-e-yar ka sauda hai mere sar ke sath
panw thak thak ke hon har-chand ki shal jaunga
zabt-e-betabi-e-dil ki nahin taqat baqi
koh-e-sabr ab ye sada deta hai Tal jaunga
tal-e-bad ke asar se ye yaqin hai mujh ko
teri hasrat hi mein ai husn-e-amal jaunga
chaar din zist ke guzrenge tassuf mein mujhe
haal-e-dil par kaf-e-afsos main mal jaunga
shoala-ruyon ko na dikhlao mujhe ai aankho
mom se narm mera dil hai pighal jaunga
haal-e-piri kise malum jawani mein tha
kya samajhta tha main do din mein badal jaunga
wahi diwangi meri hai bahaar aane do
dekh kar laDkon ki surat ko bahal jaunga
sher Dhalte hain meri fikr se aaj ai 'atish'
mar ke kal gor ke sanche mein main Dhal jaunga
Ghazal
Aisi wahshat nahin dil ko ki sambhal jaunga
Haidar Ali Aatish