aisi uljhan ho kabhi aisi bhi ruswai ho
dil ke har zaKHm mein dariyaon ki gahrai ho
ishq mein aise kisi ki bhi na ruswai ho
har-qadam panw mein zanjir nazar aai ho
is tarah yaad teri dil mein chali aai ho
jis tarah koi kali shaKH pe muskai ho
yun guzarte hain tere hijr mein din-raat mere
jaan pe jaise kisi shaKHs ke ban aai ho
did se pyas bujhe chashm-e-tamanna ki kabhi
husn-e-zeba se dil-e-zar ki zebai ho
tu qarib aaya to aisa mujhe mahsus hua
teri KHushbu meri sanson mein simaT aai ho
aise bojhal hain tere baad mohabbat ke qadam
jaise laDki kisi dehat ki ghabrai ho
ek arsa hua manzar nahin dekha koi
husn-e-zeba se meri aankh mein ranai ho
mil bhi sakta hai hamein manzil-e-hasti ka suragh
waqt ne panw mein zanjir na pahnai ho
is tarah dekhta hai mujh ko wo ek shaKHs yahan
jis tarah ek zamane ki shanasai ho
raste aise chamak uThte hain rafta rafta
muntazir jaise nazar rah mein phailai ho
kash aisa bhi koi lamha mayassar aa jae
ishq ki baat bane gham ki pazirai ho
aise sine mein pareshan hai dil ka hona
har taraf dhul ho har or mein tanhai ho
dil bhi jalta ho judai mein sharare ki tarah
gili lakDi ki tarah jaan bhi sulgai ho
gulshan-e-zist mein raqsan ho bahaaron ka saman
tere aanchal se har ek shaKH hi rangwai ho
husn ko ishq ke aa jaen jo aadab kabhi
aankh shaidai na ho dil na tamannai ho
arsa-e-zist mein aisa na koi lamha mila
kisi saat ne kali pyar ki mahkai ho
daere aise banati hai yahan qaus-e-quzah
hu-ba-hu jaise kisi shoKH ki angDai ho
zindagi aise kaTi tana-o-dushnam ke sath
mera hona bhi mere gham ka shanasai ho
chain aata hai tamanna ko na arman ko sakun
jab mohabbat ki kali KHauf se murjhai ho
bech ke KHud ko bhi KHushiyan na KHaridi jaen
teri duniya mein na aisi kabhi mahngai ho
mujh ko gul-rang bahaaron se yahi lagta hai
jaise parwa teri KHushbu ko liye aai ho
dekh kar rang bahaaron ke mujhe lagta hai
jaise chunari kisi doshiza ne phailai ho
phul ki tarah sabhi dagh mahakne lag jaen
kash aisa bhi kahin tarz-e-masihai ho
kaisa manzar ho ki sar phoDte diwanon ke
sang ho hath mein aur samne harjai ho
hai mizaj apna alag apni tabiat hai juda
kaise is daur ke logon se shanasai ho
wo suKHan-war jo suKHan-war hain haqiqi sahab
aise logon ka kabhi jashn-e-pazirai ho
zaKHm us shoKH ne is bar lagaya wo 'nabil'
jaise biphre hue dariyaon ki gahrai ho
chae ka cup ho 'nabil' aur kisi ki yaaden
raat ka pichhla pahar aalam-e-tanhai ho
aisi haalat mein nazar aaya hai wo aaj 'nabil'
jaise sheron mein koi qafiya-paimai ho
Ghazal
Aisi uljhan ho kabhi aisi bhi ruswai ho
Nabeel Ahmad Nabeel