aisi uljhan ho kabhi aisi bhi ruswai ho
dil ke har zaKHm mein dariyaon si gahrai ho
yun guzarte hain tere hijr mein din-raat mere
jaan pe jaise kisi shaKHs ke ban aai ho
phul ki misl sabhi dagh mahakne lag jaen
kash aisa bhi kahin tarz-e-masihai ho
kaisa manzar ho ki sar phoDte diwanon ke
sang ho hath mein aur samne harjai ho
wo suKHan-war jo suKHan-war hain haqiqi sahab
aise logon ka kabhi jashn-e-pazirai ho
hai mizaj apna alag apni tabiat hai juda
kaise is daur ke logon se shanasai ho
chae ka cup ho 'nabil' aur kisi ki yaaden
raat ka pichhla pahar aalam-e-tanhai ho
Ghazal
Aisi uljhan ho kabhi aisi bhi ruswai ho
Nabeel Ahmad Nabeel