aisi taqsim ki surat nikal aai ghar mein
dhup ne hijr ki diwar uThai ghar mein
sail aisa tha ki sab shahr-e-badan Dub gaya
raat barish ne ajab bazm sajai ghar mein
muntazir kitne rahe band dariche sare
teri aawaz na phir lauT ke aai ghar mein
dar-o-diwar mahakne lage andazon se
main ne taswir teri jun hi lagai ghar mein
yun hi ek raat use dil se nikala kya tha
phir mujhe ras koi raat na aai ghar mein
Ghazal
Aisi taqsim ki surat nikal aai ghar mein
Tariq Naeem