aisi nind aai ki phir maut ko pyar aa hi gaya
raat bhar jagne wale ko qarar aa hi gaya
KHak mein yun na milana tha meri jaan tum ko
ek wafadar ke dil mein bhi ghubar aa hi gaya
yaad-e-gesu ne tasalli to bahut di lekin
samne raat maal-e-dil-e-zar aa hi gaya
kushta-e-naz ki mayyat pe na aane wala
phul daman mein liye su-e-mazar aa hi gaya
ye bayaban ye shab-e-mah ye KHunki ye hawa
ai KHizan tujh ko bhi andaz-e-bahaar aa hi gaya
aafrin ashk-e-nadamat ki daraKHshani ko
ek siyahkar ke chehre pe nikhaar aa hi gaya
baad-e-manzil bhi na mahsus hua mujh ko 'shafiq'
marhaba salle-ala kucha-e-yar aa hi gaya
Ghazal
Aisi nind aai ki phir maut ko pyar aa hi gaya
Shafiq Jaunpuri