aisi nai kuchh baat na hogi
KHatm-e-sahar tak raat na hogi
meri jahan par baat na hogi
teri bhi auqat na hogi
kaise bujhenge jalte masail
khul kar jab tak baat na hogi
ahl-e-sahar is darja magan hain
jaise kabhi ab raat na hogi
mere nahin to ghair ke ho lo
tanha basar auqat na hogi
suraj ka jalna bujhna kya
KHatm ye kali raat na hogi
dil ka safar shoalon ka safar hai
shabnam ki barsat na hogi
bazi-e-dil 'asrar' agar hai
mat bhi teri mat na hogi
Ghazal
Aisi nai kuchh baat na hogi
Asrarul Haq Asrar