اردو हिंदी
Aisi nahin hai baat ki qad apne ghaT gae | Shaahi Shayari
aisi nahin hai baat ki qad apne ghaT gae

Ghazal

Aisi nahin hai baat ki qad apne ghaT gae

Saghar Azmi

;

aisi nahin hai baat ki qad apne ghaT gae
chadar ko apni dekh ke hum KHud simaT gae

jab hath mein qalam tha to alfaz hi na the
ab lafz mil gae to mere hath kaT gae

sandal ka main daraKHt nahin tha to kis liye
jitne the gham ke nag mujhi se lipaT gae

baiThe the jab to sare parinde the sath sath
uDte hi shaKH se kai samton mein baT gae

ab hum ko shafqaton ki ghani chhanw kya mile
jitne the saya-dar shajar sare kaT gae

'saghar' kisi ko dekh ke hansna paDa mujhe
duniya samajh rahi hai mere din palaT gae