aisi mushkil mein na jaan thi pahle
zist kab itni garan thi pahle
aasman tha na zamin thi koi
kaenat ek dhuan thi pahle
dhup bahrup pighalta sona
chandni aab-e-rawan thi pahle
ek maKHsus samaat sab ki
ek manus zaban thi pahle
qatl ke kab the ye sare saman
ek tir ek kaman thi pahle
ye jo bijli si chamak jati hai
sat pardon mein nihan thi pahle
is jagah bank nahin hota tha
ek kitabon ki dukan thi pahle
kuchh to raste the sitaron aise
kuchh tabiat bhi rawan thi pahle
phul hi phul khila karte the
mujh mein ye aag kahan thi pahle
zaKHm diwar batata hai 'munir'
ek taswir yahan thi pahle
Ghazal
Aisi mushkil mein na jaan thi pahle
muneer saifi