aisi koi darpesh hawa aai hamare
jo sath hi patte bhi uDa lai hamare
wo abr ki chhaya raha aankhon ke ufuq par
wo barq jo andar kahin lahrai hamare
dekha hai bahut KHwab-e-mulaqat bhi har-ros
hisse mein jo ab aai hai tanhai hamare
is bar mili hai jo natije mein burai
kaam aai hai apni koi achchhai hamare
the hi nahin maujud to kyun KHalq ne us ki
chaaron taraf afwah si phailai hamare
phir jhuT ki is mein hamein karni hai milawaT
phir ras nahin aaegi sachchai hamare
Darte hue khola to hai ye bab-e-taaruf
paD jae gale hi na shanasai hamare
dawa to bahut ramz-shanasi ka use tha
ye KHalq ishaare na samajh pai hamare
chal bhi diye dikhla ke tamasha to 'zafar' hum
baiThe rahe ta-der tamashai hamare
Ghazal
Aisi koi darpesh hawa aai hamare
Zafar Iqbal