aisi hui sarsabz-shikayat ki kaDi baat
sabze ki tarah kan mein us gul ki paDi baat
kyunkar dahan-e-tang se zahir ho kaDi baat
munh aap ka chhoTa hai na niklegi baDi baat
gul-rang tere honTh hue bar-e-suKHan se
ai jaan uDa le gai missi ki dhaDi baat
tere suKHan-e-saKHt mein hai husn-e-nazakat
kanon ko hui pamba-e-mahtab kaDi baat
is pech se tum mujh ko uDate ho dam-e-nutq
zanjir-e-ram-e-hosh ki banti hai kaDi baat
taqrir teri shaKH-e-gul-e-taza hai ai mast
deti hai kaf-e-baada mein phulon ki chhaDi baat
wasf-e-dur-e-dandan se ye baDh jate hain rutbe
rag rag ko bana deti hai moti ki laDi baat
har kan hua hai sabad-e-gul se ziyaada
kya phul ke manind tere munh se jhaDi baat
dhota hai suKHan dil se ghubar-e-gham-e-duniya
hai gard-e-alam ke liye sawan ki jhaDi baat
kya mohr banai tere yaqut-e-suKHan ki
manind-e-nagin hum ne anguThi mein jaDi baat
naqd-e-suKHan-e-pak diya gard-e-qalaq mein
ganjine ke manind tah-e-KHak gaDi baat
jis roz main ginta hun tere aane ki ghaDiyan
suraj ko bana deti hai sone ki ghaDi baat
ustad ke ehsan ka kar shukr 'munir' aaj
ki ahl-e-suKHan ne teri tarif baDi baat
Ghazal
Aisi hui sarsabz-shikayat ki kaDi baat
Muneer Shikohabadi