aisi bhi surat-e-haalat na samjhi jae
meri paspai meri mat na samjhi jae
ye to raste mujhe le aae hain teri jaanib
ye mulaqat mulaqat na samjhi jae
baz auqat main nashshe mein nahin bhi hota
meri har baat meri baat na samjhi jae
ab to sahra bhi mere sath safar karte hain
sirf wahshat hi mere sath na samjhi jae
faisle sare kahin aur hua karte hain
meri ruswai mere hath na samjhi jae
waqt aane pe gala apna daba sakta hun
itni kamzor meri zat na samjhi jae
Ghazal
Aisi bhi surat-e-haalat na samjhi jae
muneer saifi