aisi achchhi surat nikli pani ki
aankhen pichhe chhuT gain sailani ki
carrom ho shatranj ho ya phir ishq hi ho
khel koi ho hum ne be-imani ki
qaid hui hain aankhen KHwab jazire par
pa kar ek saza si kale pani ki
diwaron par chand sitare raushan hain
bachchon ne dekho to kya shaitani ki
chand ki goli raat ne kha hi li aaKHir
pahle to shaitan ne aana-kani ki
jalte diye sa ek bosa rakh kar us ne
chamak baDha di hai meri peshani ki
main us ki aaankhon ke pichhe bhaga tha
jab afwah uDi thi un mein pani ki
Ghazal
Aisi achchhi surat nikli pani ki
Swapnil Tiwari