اردو हिंदी
Aish ke rang malalon se dabe jate hain | Shaahi Shayari
aish ke rang malalon se dabe jate hain

Ghazal

Aish ke rang malalon se dabe jate hain

Muztar Khairabadi

;

aish ke rang malalon se dabe jate hain
ab to hum apne hi haalon se dabe jate hain

panw rakhna mujhe sahra mein bhi dushwar hai ab
sare kanTe mere chhaalon se dabe jate hain

tauba tauba wo mere KHwab mein kya aaenge
jagte mein jo KHayalon se dabe jate hain

allah allah ri nazakat tere ruKHsaron ki
itne nazuk hain ki khaalon se dabe jate hain

tu hai koThe pe to katra ke nikalti hai ghaTa
kale baadal tere baalon se dabe jate hain

kya dabaenge ubhar kar tere joban zalim
ye to KHud dekhne walon se dabe jate hain

un ko ai shauq-e-talab chheD ke mahjub na kar
jo mohabbat ke KHayalon se dabe jate hain

be-tarah bar-e-mohabbat to paDa hai un par
aap kyun chahne walon se dabe jate hain

bar hun dida-e-arbab-e-suKHan par 'muztar'
muddai mere kamalon se dabe jate hain