aish ke jalse hujum aalam ke
shobade hain gardish-e-ayyam ke
himmat-e-mardana tujh ko aafrin
kar ke chhoDa sar hue jis kaam ke
subh ke bhule to aae sham ko
dekhiye kab aaen bhule sham ke
tu hi kar taklif o paik-e-saba
muntazir hain wo mere paigham ke
hasha lillah mai-kade ke kase len
mo'taqid hun zahid-e-ullam ke
miT gai hai dil se aazadi ki yaad
kitne KHugar ho gae hum dam ke
ab to charche ja-ba-ja hone lage
waizon ki bang-e-be-hangam ke

Ghazal
Aish ke jalse hujum aalam ke
Ismail Merathi