اردو हिंदी
Aish kar KHuban mein ai dil shadmani phir kahan | Shaahi Shayari
aish kar KHuban mein ai dil shadmani phir kahan

Ghazal

Aish kar KHuban mein ai dil shadmani phir kahan

Nazeer Akbarabadi

;

aish kar KHuban mein ai dil shadmani phir kahan
shadmani gar hui to zindagani phir kahan

jis qadar pina ho pi le pani un ke hath se
aab-e-jannat to bahut hoga ye pani phir kahan

lazzaten jannat ke mewe ki bahut hongi wahan
phir ye miThi galiyan KHuban ki khani phir kahan

wan to han huron ke gahne ke bahut honge nishan
in pari-zadon ke chhallon ki nishani phir kahan

ulfat-o-mahr-o-mohabbat sab hain jite-ji ke sath
mehrban hi uTh gae ye mehrbani phir kahan

waiz o naseh baken to un ke kahne ko na man
dam ghanimat hai miyan ye naujawani phir kahan

ja paDe chup ho ke jab shahr-e-KHamoshan mein 'nazir'
ye ghazal ye reKHta ye sher-KHwani phir kahan