aise wo dastan khinchta hai
har yaqin par guman khinchta hai
teri furqat ka ek ek lamha
jism se meri jaan khinchta hai
jab bhi main aasman ko chhune lagun
panw ko mehrban khinchta hai
manzil-e-zist ke kisi bhi taraf
apni jaanib nishan khinchta hai
main haqiqat jahan bhi likhta hun
wo wahi dastan khinchta hai
jab haqiqat bayan karun us ki
mere munh se zaban khinchta hai
sar-zamin-e-watan pe ab wo 'nabil'
apna har su makan khinchta hai
Ghazal
Aise wo dastan khinchta hai
Nabeel Ahmad Nabeel