اردو हिंदी
Aise to koi tark sukunat nahin karta | Shaahi Shayari
aise to koi tark sukunat nahin karta

Ghazal

Aise to koi tark sukunat nahin karta

Abbas Tabish

;

aise to koi tark sukunat nahin karta
hijrat wahi karta hai jo baiat nahin karta

ye log mujhe kis liye dozaKH se Daraen
main aashiqi karta hun ibaadat nahin karta

hum silsila-daron ke ho kyun jaan ke darpai
kafir use kahiye jo mohabbat nahin karta

lagta hai yahan maut nahin aani kisi ko
is shahr mein ab koi wasiyyat nahin karta

ye mujh ko batate hain ghazalan-e-tarah-dar
achchha wahi rahta hai jo wahshat nahin karta

'tabish' ka qayamat se yaqin uTh na gaya ho
kuchh din se wo zikr-e-qad-o-qamat nahin karta