aise rakhti hai hamein teri mohabbat zinda
jis tarah jism ko sanson ki hararat zinda
shauq ki rah mein ek aisa bhi pal aata hai
jis mein ho jati hai sadiyon ki riyazat zinda
roz ek KHauf ki aawaz pe hum uThte hain
roz hoti hai dil o jaan mein qayamat zinda
ab bhi anjaan zaminon ki kashish khinchti hai
ab bhi shayad hai lahu mein kahin hijrat zinda
taat-e-jabr bahut aam hui jati thi
ek inkar ne ki rasm-e-baghawat zinda
hum to mar kar bhi na baatil ko salami denge
kaise mumkin hai ki kar len teri baiat zinda
hum mein soqraat to koi nahin phir bhi 'shahbaz'
zahr pi lete hain rakhte hain riwayat zinda
Ghazal
Aise rakhti hai hamein teri mohabbat zinda
Shahbaz Khwaja