اردو हिंदी
Aise pur-nur-o-ziya yar ke ruKHsare hain | Shaahi Shayari
aise pur-nur-o-ziya yar ke ruKHsare hain

Ghazal

Aise pur-nur-o-ziya yar ke ruKHsare hain

Imdad Ali Bahr

;

aise pur-nur-o-ziya yar ke ruKHsare hain
jin ke aage mah-o-KHurshid bhi do tare hain

koi in aankhon se is sabza-e-KHat ko puchhe
ye wo kanTe hain ki palkon se siwa pyare hain

koi sabqat na kabhi KHal se jitne ho bacho
sanp gesu-e-siyah-fam se man haare hain

kyun kar angiya mein na ho surat-e-jauza paida
gore gore tere pistan hain ki mah-pare hain

fasl-e-gul aae kali koi na koi chaTke
aaj murghan-e-sahar bagh mein chahkare hain

ishq-e-atfal-e-chaman mein hain anadil betab
aashiyanon ka ye aalam hai ki gahware hain

qatl karta hai mujhe kyun shab-e-furqat KHamosh
ai moazzin mad-e-takbir nahin aare hain

ek din parcha lagaenge nakirain zarur
ye farishte nahin aKHbar ke harkare hain

KHal-e-mushkin ne dil aisa hi jalaya hai ki bas
koelon par bhi ye dhoka hai ki angare hain

KHwan-e-neamat se kabhi KHat na uThaenge baKHil
mal kha sakti hain taqdir ne munh mare hain

na saza-war-e-hazar hun na mubarak hai safar
mere palle pe na sabit hain na sayyare hain

rang gulzar ka shabnam sa uDa jata hai
ru-ba-ru tere hazari nahin fawware hain

wah kya yar ke honTon ki main tarif karun
jaan shirin nahin jin se wo shakar-pare hain

KHana-e-ishq ke mehman hain hum aur tadur
dagh hain hum ko nasib aur use angare hain

'bahr' ayyam-e-judai mein na kapDe phaDo
ye samajh lo ki shab-e-wasl ke kaffare hain