اردو हिंदी
Aise pamal ki pahchan mein aate hi nahin | Shaahi Shayari
aise pamal ki pahchan mein aate hi nahin

Ghazal

Aise pamal ki pahchan mein aate hi nahin

Azhar Abbas

;

aise pamal ki pahchan mein aate hi nahin
phul se chehre mere dhyan mein aate hi nahin

rok leti hai kahin rah mein nauhon ki sada
KHush-nawa git mere kan mein aate hi nahin

yun to kya kya na liya zad-e-safar chalte hue
chand sapne hain jo saman mein aate hi nahin

us taraf laDne pe aamada hai lashkar apna
aur salar ki maidan mein aate hi nahin

aise sapne hain jinhen hum ne nahin dekha abhi
aise raste hain jo imkan mein aate hi nahin

jurm aisa hai ki mujrim hain sabhi shahr ke log
aur asir itne ki zindan mein aate hi nahin