aise mile nasib se sare KHuda ki bas
main bandagi ke zoam mein chilla uTha ki bas
ek khel ne hamara muqaddar badal diya
wo to hamein pukar kar aisa chhupa ki bas
pahle to ek nashe ko kiya sar pe KHud sawar
phir yun kisi KHayal se ji haT gaya ki bas
jannat milegi us ne kaha mominin ko
jalte hue makan se aai sada ki bas
naghma samajh ke shor se mahzuz hoti bhiD
amboh-e-bekaran mein koi chiKHta ki bas
Ghazal
Aise mile nasib se sare KHuda ki bas
Nomaan Shauque