اردو हिंदी
Aise lamhe par hamein qurban ho jaana paDa | Shaahi Shayari
aise lamhe par hamein qurban ho jaana paDa

Ghazal

Aise lamhe par hamein qurban ho jaana paDa

Zaheer Ghazipuri

;

aise lamhe par hamein qurban ho jaana paDa
ek hi laghzish mein jab insan ho jaana paDa

be-niyazana guzarne par uThin jab ungliyan
mujh ko apne ahd ki pahchan ho jaana paDa

zindagi jab na-shanasi ki saza banti gai
rabton ki KHud mujhe mizan ho jaana paDa

reza reza apna paikar ek nai tartib mein
canwas par dekh kar hairan ho jaana paDa

saaton ki aahani zanjir mein jakDi hui
sans ki tartib par qurban ho jaana paDa

wo to lamhon ke sisakte daeron mein qaid hai
jis ko apne aap se anjaan ho jaana paDa

ek paheli ki tarah na-faham the hum bhi 'zahir'
aap ki KHatir magar aasan ho jaana paDa