aise kuchh log bhi miTTi pe utare jaen
dekh kar jin ko KHad-o-KHal sanware jaen
ek hi wasl ki tasir rahegi qaem
kaun chahega yahan sal guzare jaen
tere mizhgan hain ki surat koi qausain ki hai
darmiyan aa ke kahin log na mare jaen
mahi us par khaDa aap ki rah takta hai
aap tazim karen aur kinare jaen
ab mayassar nahin koi bhi Thikana hum ko
tum batao ki kahan dost tumhaare jaen
chand sheron ki zarurat hai unhen KHatir-e-dost
wo ba-zid hain ki wo ashaar hamare jaen
raushni chahiye kuchh der zara aur hamein
chand ruk jae yahin aur sitare jaen
Ghazal
Aise kuchh log bhi miTTi pe utare jaen
Hassan Ahmad Awan