aise ghurbat mein baiTha hun jaise baDa bar-e-sar rakh diya
ek sehn ek dar ek diwar ka nam ghar rakh diya
is hunar par jo tum is qadar nukta-chin ho to main kya kahun
mere malik ne kyun mujh mein sachchaiyon ka hunar rakh diya
main ne shaKHen tarashin bulandi-e-nashw-o-numa ke liye
tum ko tesha mila tum ne to kaT kar hi shajar rakh diya
tez-tar baad-e-KHud-sar chali to yahan kaun si lu ghaTi
main ne aur ek lahu se jala kar diya baam par rakh diya
mera hissa tha kya dukh shanasai ke zaKHm ruswai ke
waqt ke ru-ba-ru main ne sara hisab-e-safar rakh diya
kitne nadar dil tum ne Thukra diye ye na socha kabhi
is mohabbat ne to pa-e-aflas par taj-e-zar rakh diya
main ne to apna KHud hi likha faisla log aise bhi the
munsifi ke liye pa-e-na-munsifi par bhi sar rakh diya
Ghazal
Aise ghurbat mein baiTha hun jaise baDa bar-e-sar rakh diya
Mahshar Badayuni