اردو हिंदी
Aise Dare hain kis ki nigah-e-ghazab se hum | Shaahi Shayari
aise Dare hain kis ki nigah-e-ghazab se hum

Ghazal

Aise Dare hain kis ki nigah-e-ghazab se hum

Mushafi Ghulam Hamdani

;

aise Dare hain kis ki nigah-e-ghazab se hum
bad-KHwab ho gae hain jo do chaar shab se hum

kab kaamyab-e-bosa hue us ke lab se hum
sharminda hi rahe dil-e-matlab-matlab se hum

bosa na le sake kaf-e-pa ka adab se hum
kaTen hain is liye kaf-e-afsos shab se hum

sauda-gar-e-safa-e-dil-e-be-ghubar hain
ajnas-e-shisha lae hain shahr-e-halab se hum

ye roz DhunDh lae hai ek KHub-ru naya
shaki hain apne hi dil-e-afat-talab se hum

kashti hamari bahr ki hai manjdhaar mein
nikle hain kab kashakash-e-lutf-o-ghazab se hum

tarz-e-KHiram-e-naz ki be-etidaliyan
dekhen hain aur kuchh nahin kahte adab se hum

burqe mein ho ki parda-e-chadar mein KHub-ru
pahchante hain waza se shoKHi se chhab se hum

shaghl-e-sharab o shisha o saqi-e-naghma-sanj
taib hue hain aalam-e-piri mein sab se hum

be-lutf zindagi ke hain din aa bhi ai ajal
tere hi intizar mein baiThe hain kab se hum

fan itna kam kya hai ki in rozon 'mushafi'
dil mein ek uns rakhte hain sher-e-arab se hum