aise bhi the kuchh haalat
dil se chhupai dil ki baat
har ek ne ek baat kahi
koi na samjha dil ki baat
sham-o-sahar ka nam na tha
aise bhi dekhe din aur raat
ishq ki bazi kya kahiye
soch samajh kar khai mat
dil ke hathon hum majbur
dil ki laj parae hat
husn ke tewar kya kahne
har lahza ek taza baat
ashkon ka tufan uTha
gham mein Dub gai barsat
tum bhi zabt karo hum bhi
ishq hai kis ke bas ki baat
sahmi sahmi si wo nigah
badle badle se haalat
bhul gaya hai sab kuchh dil
yaad aai hai kaun si baat
ek tabassum ashk-alud
bhigi bhigi dard ki baat
Ghazal
Aise bhi the kuchh haalat
Sufi Tabassum