aise bhi kuchh lamhe yaro aaenge
hum mashkuk nazar se dekhe jaenge
nind-bhari aankhen bhi dhoka deti hain
jagoge to KHwab kahan se aaenge
un se parda-dari ghar mein mushkil hai
fursat ke lamhe hain aaen jaenge
dhul hua jata hai manzar raaton ka
KHwabon ka mear kahan se laenge
sannaTa aawara phirta hai ghar mein
hum us ko ab kaam dila kar jaenge
mandir masjid gurudware sab shashdar hain
ab raste ke patthar puje jaenge
dhup mein baiThe senk rahe ho apna badan
ye bhi manzar ab uryan kahlaenge
suraj chhat se utar gaya to kya gham hai
andhiyare mein 'rind' kahin so jaenge
Ghazal
Aise bhi kuchh lamhe yaro aaenge
P P Srivastava Rind