aise bhi kuchh gham hote hain
jo ummid se kam hote hain
aage aage chalta hai rasta
pichhe pichhe hum hote hain
rag ka waqt nikal jata hai
jab tak sur qaem hote hain
bahar ki KHushki pe na jao
patthar andar nam hote hain
milne koi nahin aata jab
apne aap mein hum hote hain
chehron ki to bhiD hai lekin
sahi salamat kam hote hain
nazmen ghazlen KHat afsane
us ke nam raqam hote hain
dil ke shelf mein 'shahid' kitni
yaadon ke album hote hain
Ghazal
Aise bhi kuchh gham hote hain
Shahid Meer