اردو हिंदी
Aisa ye dard hai ki bhulaya na jaega | Shaahi Shayari
aisa ye dard hai ki bhulaya na jaega

Ghazal

Aisa ye dard hai ki bhulaya na jaega

Asra Rizvi

;

aisa ye dard hai ki bhulaya na jaega
mear-e-ishq un se baDhaya na jaega

is bar un se kah do qadam soch kar rakhen
ujDa jo phir ye shahr basaya na jaega

jo log bughz dil mein chhupae hain aaj bhi
un se mere makan mein aaya na jaega

haq baat bolne se kiya jis kisi ne KHauf
mahfil mein phir kabhi bhi bulaya na jaega

the muttafiq to baat se meri sabhi magar
shewa mera KHayal banaya na jaega

shayad isi liye nahin aae wo mere pas
jo aa gae to chhoD ke jaya na jaega

gar ehtiram kar na sake bazm-e-naz ka
sharmindagi se sar ko uThaya na jaega

zahr-ab mere waste wo le to aaega
saqi se jam hum ko pilaya na jaega

'asra' bana lo shauq ko apne junun ki aag
ek bar bujh gai to jalaya na jaega