اردو हिंदी
Aisa tah-e-aflak KHaraba nahin koi | Shaahi Shayari
aisa tah-e-aflak KHaraba nahin koi

Ghazal

Aisa tah-e-aflak KHaraba nahin koi

Basheer Ahmad Basheer

;

aisa tah-e-aflak KHaraba nahin koi
us dasht se zinda kabhi lauTa nahin koi

haibat wo sadaon mein ki larze dar-o-diwar
guzre wo shab-o-roz ki soya nahin koi

viran si viran hui dhyan ki basti
chehra kisi chilman se jhalakta nahin koi

sar phoD ke lauT aati hai jati hai jo aawaz
kya gumbad-e-afaq mein rasta nahin koi

ek aisi masafat hai ki saat bhi kaThin hai
sadiyon ka safar aur kahin saya nahin koi

be-ism nahin khulta dar-e-ganj-e-tilismat
satron mein KHazine hain tamasha nahin koi

dekhi hai 'bashir' ahl-e-nazar ki bhi rasai
baaten meri samjhe mujhe samjha nahin koi